Showing posts with label Ghazal Poetry. Show all posts
Showing posts with label Ghazal Poetry. Show all posts

Friday, May 9, 2014

, , , ,

Main Ne Poocha Kaisay Ho?


Main Ne Poocha Kaisay Ho?
Badlay Ho Yan Waisay Ho?,

Roop Wohi Andaz Wohi
Ya Phir Is Main Koi Kami?,

Hijer Ka Kuch Ihsaas To Ho ga
Koi tumharay pass to ho ga?,

Main bichra yeah majboori thi
Kab manzoor mujhe doori thi,

Sath Hamara Kab choota
Rooh ka rishta kab toota,

Ankh se jo Aansoo behte hain
Tum ko khabar hai kia kehte hain?,

Main ne kaha awaz tumhari
Aaj bhi hai humraaz hamari,

Phool Wafa ke khil jaien gay
Ik din hum phir mil jaien gay.

Thursday, April 3, 2014

, , ,

Kisi Ke Shoq Main Khud Ko Ganwa Kar Kuchh Nahi Milta


Kisi Ke Shoq Main Khud Ko Ganwa Kar Kuchh Nahi Milta
Ke Phoolon Ko Kitaboon Main Sajaa Kar Kuchh Nahi Milta,

Agar Ho Zindagi Bhar Ki Rafaaqat Phir To Achhaa Hai
Gharri Bhar Ki Muhabbat Ko Nibhaa Kar Kuchh Nahi Milta,

Woh Beparwaah Hai Phir Bhi Us Say Kuchh Nahi Kehna
Woh Khud Hi Jaan Jaayega, Jataa Kar Kuchh Nahi Milta,

Kabhi Yeh Sochtaa Hoon Kay Usay Kyun Yaad Kartaa Hoon
Kisi Ki Yaad Main Dil Ko Jalaa Kar Kuchh Nahi Milta.

Saturday, November 23, 2013

Ajeeb Tarha Se Utri Hai Ab K Tanhai


Ajeeb Tarha Se Utri Hai Ab K Tanhai
Dar-o-Deewar Se Barsney Lagi Hai Ab K Tanhai,

Ye Mere Ghar Ki Udasi Se Dar Gai Shayed
Lipatt K Mujh Se Galey Ro Rahi Hai Tanhai,

Chalo K Raat Hoi Ab To Lotna Hai Mujhey
K Mere Ghar Pe Meri Muntazir Hai Tanhai,

Mai Jaa K Usko Sunati Hoon Haal-e-Dil Apna
Phir Apna Haal Sunati Hai Mujhko Tanhai,

Bari Talaash Se Usko Mila Hai Ghar Mera
Phirti Hai Mere Liye Dar-Badr Tanhai.