Showing posts with label Dil. Show all posts
Showing posts with label Dil. Show all posts
Saturday, May 24, 2014
Monday, March 10, 2014
Monday, March 3, 2014
Friday, January 10, 2014
Tuesday, December 3, 2013
Dard, Dil, Ghazal
Sad Ghazal Life Is Pain
Kasara Hi Kasara Tha
Tumhein pane ki khuwahish main
Kasara hi kasara tha
Tumhara hijar bi mushkil
Tumhara wisal bhi mushkil
Jo mil jate
To khuwaboun ka weran hojata
Jo bichare ho
To dil ki be-qarari jao dani he
Tumhein pane ki khuwahish main
Kasara hi kasara tha
So hum ne tum ko pane ki
Tamanna rond dali he
Khasare se nikalne ki
Zaid yehi sorat nikali he
Monday, October 21, 2013
Dil, Ghazal
Best Ghazal | The Heart And Knew Something
Ye Dil Kuch Aur Samajhta Tha
Wo jazboun ki tijarat thi
Ye dil kuch aur samajta tha
Use hanse ki adar thi
Ye dil kuch aur samajhta tha
Mere phelo main roya to bohut soya
Ye dil kuch aur samajhta tha
Mere kande pe sar rakh ke kisi aur ke lie roya tha
Wo dar, parda, hakarat thi par zaid ye dil kuch aur samajhta tha
Friday, October 11, 2013
Tuesday, September 17, 2013
Dard, Dil, Four Lines Poetry
Best Urdu Sad Shayari With Design Images
Khayaloun Main Agar Aao
Khayaloun main agar aao sambhal jana dil-e-jaa main
Mere ashkoun ke darya main mere aahoun ke tofan main
Main tum ko bhi bhula deta ya hote gar dil-e-jaa main zaid
Mere ashkoun ke darya main mere aahoun ke tofan main
Koi Aehl-e-dil Nahi He
Koi aehl-e-dil nahi he koi razdaa nahi he
Main qafs main jee raha houn mara aashyaa nahi he
Zaid kahan mile ga kisi zulf ka andhera
Main khizaa ki dhoop main houn koi saiban nahi he
Jab Bhi Chalka Meri Aankho Se
Jab bhi chalka meri aankho se wo pani ki tarah
Khak main milne laga meri jawani ki tarah
Kuch is tarah se meri zindagi na kam rahi
Zaid ek be waja si be nam kahani ki tarah
Jab Se Main Ujra Houn
Jab se main ujra houn ahbab bhi kam aate hain
Ab meri palkoun se selab bhi kam aate hain
Munsalik the jo tere wisal ki betabi se zaid
Ab meri palkoun pe wo khuwab bhi kam aate hain
Dard Phir Dil Main Utha He
Dard phir dil main utha he lo sambhalo mujhko
Ek naya zakham mila he lo sambhalo mujhko
Meri aankho se zaid jo uthta he dhuwaa
Phir koi khuwab jala he lo sambhalo mujhko
Monday, August 19, 2013
Thursday, July 4, 2013
Aankhain, Dil, Nazam
Urdu Very Sad And Deep Love Nazam Shayari
Haseen Lamhe!!!
Haseen lamhe!!!
Wohi the lamhe,
Ke jis main tum thi,
Tumhari qurbat marasuko thi,
Ke jis main ulfat ko hurf-e-izhar dil ki koi,
Talab nahi thi,
Ke jis main aankhain hi kar rahi thi,
Tamam batain!!!
Ke jis main qurbat ki thandi chahoun,
Gham-e-zamana bhola chuki thi,
Ke jis main lamhe guzar rahe the,
Magar gumal tha ruke hoe hain,
Zaid haseen lamhe!!!
Tuesday, June 18, 2013
Friday, May 10, 2013
Dil, Ilzam, Two Lines Poetry
Urdu Loving Sad Poetry With Graphics Pictures
Manta hi nahi dil tujhe bhoolne ko_Zaid
Main hath jorti houn , wo pao parjata he
Ek hamain awara kehna koi bara ilzam to nahi
Zaid_dunya wale dil waloun ko aur bohut kehte hain
To toh kehta tha pathar he tera dil_Zaid
Ab andhero main ashq bhata kyun he
Ab us ko dekh kar nahi dharke ga mera dil
Zaid_kehna ke mujh ko ye sabaq yaad hogaya he
Herat he ke ab bhi unhain dekho to_Zaid
Dil hath se jata he main mar jati houn aksar
Dil us ko dia he to wohi is main rahe gi
Hum log amanat main khayanat nahi karte
Bohut shor sunte the phelo main dil ka
Zaid _ jo chera to ek qatra khon na nikla
Tumhare waste rakhe hain do tohfe_Zaid
Dil ibteda ke lie aur jan inteha ke lie
Bara ajeeb qissa hena , ke mere dil ne
Zaid_apni mufad ke khatir mujhe barbad kardala
Taweel na sahi agarche bohut hi mukhtasir hoga
Zaid _ tere dil ki kitab main zikar mera
Thursday, May 9, 2013
Dil, Ghazal, Maa
Best Urdu Loving Ghazal For Maa
Kabhi Apni Maa ka Dil Na Dukhana
Agar chahte ho sada muskurana
Kabhi apni maa ka dil na dukhana
Karo apni maa ki hamesha gulami
Nokar bane ga tumhara zamana
Gussa na karna kabhi apni maa se
Hamesha mohabbat se bolana _ _ _
Khushi se apni maa ki har baat mano
Jannat me tera bane ga thikana
Chale gi aasmano pe tarif teri
Zaid_Kabhi apna gussa na maa ko dikhana
Tuesday, May 7, 2013
Thursday, May 2, 2013
Dil, Two Lines Poetry, Yaad
Urdu Short Top Design Poetry
Meri sari umer main
Zaid_ek hi kami he to
Ek tum ko agar chura loun to
Zaid_zamana gareeb hojae
Bohut mehsoos hota he
Zaid_tera mehsoos na karna
Hazar log hazar batain
Sawal ek jawab tum
Aap apne raqeeb hote hain
Zaid_aeh-e-dil bhi ajeeb hote hain
Kash ke tum mout hote_Zaid
Kabhi na kabhi to mere hote
Jin ki nazroun main hum nahi ache_Zaid
Kuch to wo log bhi bure hounge
Teri aankho ki tarah gehra tha
Zaid_zakham bharne main bohut der lagi
Aaj tafseel nahi bus itna suno
Zaid_bohut yaad aarhe ho
Aap marne ki bat ab na kro
Zaid_hum ne jine ki than li he
Wednesday, May 1, 2013
Aanso, Dil, Nazam
Best Urdu Nazam With Feeling Heart Design Picture
Ae Dil In Aankho Par Na Ja
Ae dil in aakho par na ja
Jin main wofor-e-ranj se
Kuch der ko tere lie
Aanso agar lehra gae
Ye Chand lamho ki chamak
Jo tujh ko pagal kar gai!
In jugno ke noor se
Chamakti he kab wo zindagi
Jin ke muqadar main rahi
Subh-e-talab se tergi
Kis soch main gum sum he to
Ae be-khabar! nadan na ban
Tere fasarda rooh ko
Chahat ke kanto ki talab
Zaid_aur us ke daman main faqat
Hamdardio ke phool hain
Subscribe to:
Posts (Atom)