Sunday, May 25, 2014

Filled Under: , , , ,

Phira hu saare zamane mein darbadar kaisa


Phira hu saare zamane mein darbadar kaisa
Main tere baad bhi zinda raha magar kaisa,

Wo janta tha k kuch roz wo nahi tha to main
Pukarta raha usko idhar udhar kaisa,

Main jis k hijr mein roya hu paglo ki tarha
Wo kal mila to hansa mere haal pe kaisa,

Aziztar thi jise neend shaam-e-vasl mein bhi
Wo tere hijr mein jaga hai umar bhar kaisa,

Bas ek shakz ki khatir bas ek dil k liye
Watan ko taj diya deewangi mein, ghar kaisa,

Kaha ki dosti, kaisa farak, koun AMIT
Main khud ko bhool gaya tujhko bhool kar kaisa.

0 comments:

Post a Comment