Sunday, March 23, 2014

Filled Under: , , , , ,

Zulf-o-Rukh K Saaey Mein Zindagi Guzari Hai,


Zulf-o-Rukh K Saaey Mein Zindagi Guzari Hai
Dhoop Bhi Hamri Hai Chhaou�n Bhi Hamri Hai,

Gham Gusaar Chehron Par Aitbaar Mat Karna
Shehar Mein Siyasat K Dost Bhi Shikaari Hai,

Morr Lainey Wali Hai Zindagi Koi Shayad
Ab K Phir Hawaoun Mein Aik Beqarari Hai,

Haal Khoo'n Mein Dooba Hai Kal Na Janey Kia Hoga
Ab Yeh Khof-e-Mustaqbil Zehan Zehan Taari Hai,

Meray He Buzargo�n Ne Sar Bulandiyan Bakhshi�n
Meray He Qabeelay Par Mashq-e-Sang-e-Baari Hai,

Ik Ajeeb Thandak Hai Us K Narm Lehjay Mein
Lafz Lafz Shabnum Hai Baat Baat Piyari Hai,

Kuch Tou Paein Gay Us Ki Qurbaton Ka Khumyaza�h
Dil Tou Ho Chukey Tukrrey Ab Saro�n Ki Baari Hai,

Baap Bojh Dhota Tha Kia Jahaiz De Paata
Iss Liye Woh Shehzadi Aaj Tak Kanwari Hai,

Keh Do Meer-o-Galib Se Hum Bhi She�ar Kehtay Hein
Woh Sadi Tumhari Thi Yeh Sadi Hamari Hai,

Karbala Nahi Lekin Jhoot Aur Sadaqat Mein
Kal Bhi Jung Jaari Thi Aaj Bhi Jung Jaari Hai,

Gaao�n Mein Mohabbat Ki Rasm Hai Abhi Manzar
Shehar Mein Hamarey Tou  Jo Bhi Hai Madaari Hai.

0 comments:

Post a Comment