Monday, March 17, 2014

Filled Under: , , , , , ,

Woh Rut Bhi Aaie K Mein Phool Ki Sahaili Hui


Woh Rut Bhi Aaie K Mein Phool Ki Sahaili Hui
Mehak Mein Champa Kali, Roop Mein Chanbeli Hui,

Woh Sard Raat Ki Barkha Se Kiun Na Piyar Karon
Yeh Rut Tou Hai Merey Bachpan K Sath Khaili Hui,

Zameen Pe Paaon Nahi Parr Rahey Takabbur Se
Nigar-E-Gham Koi Dulhan Nai Nawaili Hui,

Woh Chaand Ban K Merey Sath Sath Chalta Raha
Mein Us K Hijar Ki Raton Mein Kab Akaili Hui,

Jo Harf Sada'h Ki Soorat Hamesha Likhi Gai
Woh Larrki Teray Liye Kis Tarha Paheli Hui.

0 comments:

Post a Comment