Monday, March 31, 2014

Filled Under: , , , , ,

Marti hoi zamee'n ko bachaana parra mujhay


Marti hoi zamee'n ko bachaana parra mujhay
Baadal ki tarah dasht pay aana parra mujhay,

Woh ker nahee'n raha tha mairi baat ka yaqee'n
Phir yoo'n hua k mar k dikhhana parra mujhay,

Bhoolay say mairi simt koi daikhhta na tha
Che'hray pay aik zakhm lagaana parra mujhay,

Us ajnabi say haath milaanay k waastay
Mehfil may sab say haath milaana parra mujhay,

Yaadai'n thee'n dafan aisi k bad-az-farokht bhi
Us ghar ki daikh-bhaal ko jaana parra mujhay,

Us bay-wafa ki yaad dilaata tha baar baar
Kal aainay pay haath uthaana parra mujhay,

Aisay bicharr k us nay to mar jaana tha hasan
Us ki nazar may khud ko giraana parra mujhay.

0 comments:

Post a Comment