Kitni He Gard-E-Zindagi
Kitni he gard-e-zindagi sazo saman par
Lagta he mere bad koi tofan guzar gaya
Kuch phool bhi bikhre hain mere ghar ke aas pas
Zaid _ lagta he hasrato ka gulista guzar gaya
Jab Zikar Bharoun Ka Huwa
Jab zikar bharoun ka huwa hum bhi rodie
Jab koi naya phool khila hum bhi ro die
Gham main ghira huwa sa zaid wo ek shakhs
Kuch is tarah se aaj hansa hum bhi ro die
Zindagi Gar Wafa Kare
Raz-e-ulfat tujhe kia batlao
Gham-e-tanhai se na murjao
Zindagi gar wafa kre_zaid
Maim tamasha khuda ka dikhlao
Aaj Aankho Ka Ye Darya Talash Karti Houn
Aaj aankho ka ye darya talash karti houn
Chale bhi aao ke sehra talash karti houn
Hawa ka jhounka tha aakar guzar gaya_zaid
Phir bhi to us ko sar-e-raah talash karti he
Gulshan-E-Ishq Se Zaid Paresha Nikla
Manzil-e-ishq main har shakhs be-zuba nikla
Jis ko gham samjha tha wo dard ka darma nikla
Nala bulbul ka suna gull ki aahwazari suni
Gulshan-e-ishq se zaid paresha nikla
0 comments:
Post a Comment