Kis ko guman tha ek nuqte ki aaghosh itni kushada hogi
Jis main anat sare tak rang bhari phenai
Ghul mil kar reh jae gi
Kis ko khabar thi,anjane pan ki gar dulbada
Jis ki sadyoun ki sar basta dani
Apni chup dikhlae gi
Kis ko yaqeen tha,Dor ke lams ki taseer itni
Ziada hogi
Jis se sangee pekar main jamid renai
Rooh ki nudrat pae gi
Aesi anhoni batoo main sach ki karnain tank chuki houn
Zaid_main in jagti aankho ke gambher talasum main
Jhank chuki houn
0 comments:
Post a Comment