Jese Ho Kisi Yaad Main
Ek soch me doba hua mayoos sa chera
Ek zabt se tehri hoi be-jan si aankhain
Mur jhaya hua jism wo khoya hua lehja_Zaid
Jese ho kisi yaad main khoi hoi sansain
Usi Dewar Ke Sae Main Thi
Wohi verani ghar ki wohi tanhahiyan
Wohi heran se bikhre hoe aangan ki tanhaiyan
Lipat kar ro die wo ghar ki jis dewar se_Zaid
Us dewar ke sae main thi yadoun ki parwaiyan
Us Ke Chere Ko Kabhi Din Ke Ujale Main Parho
Us ke chere ko kabhi din ke ujale main parho
Us main bikhre hoe kuch khuwab nazar aae ge
Aur aankho main wo gham hain ke bayaa ho na sake
Zaid_tujh ko to bus ab nazar aae ge
Koi Bhi Chera Main Dekho To Yaad Aata He
Koi bhi chera main dekho to yaad aata he
Tere Hontoo ka tabasum teri aankho ki haya
Jab bhi barsat ho yaad aata he aksar mujh ko
Zaid_tere aanchal ka sirakna teri zulfo ki ghata
0 comments:
Post a Comment