Eid Ka Din He
Eid ka din he aaj to gale mille zalim
Rasm-e-dunya bhi he moka bhi he dastoor bhi he
Ishq is tarah ke gustak taza na kare
Husun mazdor bhi majbor bhi aur mazroor bhi he
Guror-r-husn ke sadke mohabbat youn nahi karte
Bari mehfil main zahir dil ki wehshat youn nahi karte
Ye mana tum haseen ho tumhain haq he shararat ka
Kisi ki jab pe ban jae shararat youn nahi karte
Kuch apne husn ki kherat dedo hum fakiroun ko
Kisi sahil ko apne dar se rukhsat youn nahi karte
Haya aur sharam ko hum husun ka zewar samajte hain
Ye zewar luta ke dejain sakhawat youn nahi karte
Tumhari ek nazar par fesla he zindagani ka
Maseha hoke bemaroun se gaflat youn nahi karte
Aap ne jo kaha wohi thek sahi
Mera kehna bhi kuch bura to nahi
Ke eid ka din he aaj to gale mille zaid
Rasm-e-dunya bhi he moka bhi he dastoor bhi he
0 comments:
Post a Comment